♥-----K.Shahzad-----♥
ik-ik patthar jor k main ne jo diwar banai hai,
jhanku us ke pichhe to ruswai hi ruswai hai
yon lagta hai sote jagte auron ka mohtaj hun main
ankhen meri apni hain par un mein nind parai hai
dekh rahe hain sab hairat se nile-nile pani ko
puche kaun samandar se tujh mein kitni gahrai hai
sab kahte hain ik jannat utri hai meri dharti par
main dil mein sochun shayad kamzor meri binai hai
bahar sahan mein peron par kuch jalte bujhte jugnu the
hairat hai phir ghar k andar kis ne ag lagai hai
aj hua malum mujhe is shahar k chand sayanon se
apni rah badalte rahna sabse bari danai hai
tor gaye paiman-e-wafa is daur mein kaise kaise log
ye mat soch'Qateel'k bas ik yar tera harjai hai....
♥-----K.Shahzad-----♥
ye mojaza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhe,
k sang tujhpe gire aur zakhm aye mujhe
wo maharaban hai to iqrar kyun nahin karta
wo badguman hai to sau bar azmaye mujhe
main apne paon tale raundata hun saye ko
badan mera hi sahi dopahar na bhaye mujhe
main ghar se teri tamanna pahan k jab niklun
barhana shahar mein koi nazar na aye mujhe
wo mera dost hai sare jahan ko hai malum
daga kare wo kisi se to sharm aye mujhe
main apni zat mein nilam ho rahahun 'Qateel'
gam-e-hayat se kah do kharid laye mujhe....
♥-----K.Shahzad-----♥
hijr ki pahli sham k saye dur ufaq tak chaye the,
ham jab us k shahar se nikle sabraste sanwlaye the,
jane wo kya soch raha tha apnedil mein sari rat
pyar ki baten karte karte us k nain bhar aye the
mere andar chali thi andhi thik usi din patjhar ki
jis din apne jure mein usne kuch phul sajaye the
usne kitne pyar se apna kufr diya nazrane mein
ham apne iman ka sauda jis se karne aye the
kaise jati mere badan se bite lamhon ki khushbu
khwabon ki us basti mein kuch phul mere ham-saye the
kaisa pyara manzar tha jab dekhke apne sathi ko
per pe baithi ik chiriya ne apne par phailaye the
rukhsat k din bhigi ankhon us kawo kahna ha "Qateel"
tum ko laut hi jana tha to is nagri kyun aye the...
♥-----K.Shahzad-----♥
dil ko gam-e-hayat gawara hai in dinon,
pahle jo dard tha wahi chara haiin dinon
ye dil zara sa dil teri yadon meinkho gaya
zarre ko andhiyon ka sahara haiin dinon
har sail-e-ashk sahil-e-taskin haiaj kal
darya ki mauj-mauj kinara hai in dinon
shamon mein ab nahin hai wo pahle si roshni
shayad wo chand anjumanara haiin dinon
tum a sako to shab ko barha dun kuch aur bhi
apne kahe mein subah ka tara hai in dinon
qurban hon jis k husn pe sau jannaten 'Qateel'
nazaron k samne wo nazara hai in dinon....
♥-----K.Shahzad-----♥
pyas wo dil ki bujhane kabhi ayabhi nahin,
kaisa badal hai jiska koi saya bhi nahin
berukhi is se bari aur bhala kya hogi
ek muddat se hamein us ne sataya bhi nahin
roz ata hai dar-e-dil pe wo dastak dene
aj tak hamne jise pas bulaya bhi nahin
sun liya kaise Khuda jane zamanebhar ne
wo fasana jo kabhi hamne sunaya bhi nahin
tum to shayar ho 'Qateel' aur woik am sa shakhs
us ne chaha bhi tujhe aur jatayabhi nahin...
♥-----K.Shahzad-----♥