♥-----K.Shahzad-----♥
apne hathon ki lakiron mein basale mujh ko,
main hun tera nasib apna bana le mujh ko,
mujh se tu puchne aya hai wafa kmani,
ye teri sada dili mar na dale mujh ko,
main samandar bhi hun moti bhi hun gotazan bhi,
koi bhi nam mera le k bulale mujh ko,
tune dekha nahin aine se age kuch bhi,
khudparasti mein kahin tu na ganwale mujh ko,
kal ki bat aur hai main ab sa rahun ya na rahun,
jitna ji chahe tera aj satale mujh ko,
khud ko main bant na dalun kahin daman-daman,
kar diya tune agar mere hawale mujh ko,
main jo kanta hun to chal mujh se bacha kar daman,
main hun gar phul to jure mein sajale mujh ko,
main khule dar k kisi ghar ka hun saman parya,
tu dabe paon kabhi aa k churale mujh ko,
tark-e-ulfat ki qasam bhi koi hoti hai qasam,
tu kabhi yad to kar bhulanewale mujh ko,
bada phir bada hai main zahar bhi pi jaun "Qateel",
shart ye hai koi bahon mein sambhale mujh ko..
♥-----K.Shahzad-----♥
bechain baharon mein kya-kya hai jan ki khushbu ati hai,
jo phul mahakta hai us se tufan ki khushbu ati hai,
kal rat dikha k khwab-e-tarab so sej ko suna chor gaya,
har silwat se phir aj usi mehman ki khushbu ati hai,
talkin-e-ibadat ki hai mujhe yun teri muqaddas ankhon ne,
mandir k darichon se jaise loban ki khushbu ati hai,
kuch aur bhi sansen lene par majbur-sa main ho jata hun,
jab itne bare jangal mein kisi insan ki khushbu ati hai,
kuch tu hi mujhe ab samjha de aikufr duhai hai teri,
kyun shekh ke daman se mujh ko iman ki khushbu ati hai,
darta hun kahin is alam mein jine se na munkir ho jaun "Qateel"
ahbab ki baton se mujhko ehsan ki khushbu ati hai...
♥-----K.Shahzad-----♥
angrai par angrai leti hai rat judai ki,
tum kya samjho tum kya jano bat meri tanhai ki,
kaun siyahi ghol raha tha waqt ke bahte dariya mein,
main ne ankh jhuki dekhi hai aj kisi harjai ki,
wasl ki rat na jane kyun israr tha unko jane par,
waqt se pahle dub gae taron ne bari danai ki,
urte urte as ka panchi dur ufaq mein dub gaya "Qateel"
rote rote baith gai awaz kisi saudai ki...
♥-----K.Shahzad-----♥
dard se mera daman bhar de ya allah,
phir chahe diwana kar de ya Allah,
main ne tujh se chand sitare kab mange,
raushan dil bedar nazar de ya Allah,
suraj si ik chiz to ham sab dekh chuke,
sach-much ki ab koi sahar de ya Allah,
ya dharti k zakhmon par marham rakh de,
ya mera dil patthar kar de ya Allah...
♥-----K.Shahzad-----♥