You can easily invite all your friends to peperonity.com. When you log in or register with us, you can tell your friends about exciting content on peperonity.com! The messaging costs are on us.
"Na kisi ki ankh ka nur hun na kisik dil ka qarar hun♥
jo kisi k kam na a sak main wo ek musht-e-gubar hun♥
na to main kisi ka habib hun na to main kisi ka raqib hun♥
jo bigar gaya wo nasib hun jo ujar gaya wo dayar hun♥
mera rang-rup bigar gaya mera yar mujh se bichar gaya♥
jo chaman fizan mein ujar gaya main usi ki fasl-e-bahar hun♥
paye fateha koi aye kyun koi char phul charhaye kyun♥
koi ak shamma jalaye kyun main wo bekasi ka mazar hun♥
main nahin hun nagma-e-janfishan mujhe sun k koi karega kya♥
main bare barog ki hun sada main bare dukh ki pukar hun♥