You can easily invite all your friends to peperonity.com. When you log in or register with us, you can tell your friends about exciting content on peperonity.com! The messaging costs are on us.
Main Yahaan Tu Vahaan
Zindagi Hai Kahaan-3
Tu Hi Tu Hai Sanam Dekhtaa Hoon Jahaan.
Neend Aati Nahin Yaad Jaati Nahin.2
Bin Tere Ab Jiyaa Jaaye Na....
Main Yahaan Tu Vahaan...
Vaqt Jaise Thahar Gayaa Hai Yahin,
Har Taraf Ek Ajab Udaasi Hai
eqaraari Kaa Aisaa Aalam Hai
Jism Tanhaa Hai Rooh Pyaasi Hai.
Teri Soorat Ab Ek Pal Kyun Nazar Se Hatati Nahin.
Raat Din To Kat Jaate Hain Umr Tanhaa Katati Nahin.
Chaah Ke Bhi Na Kuchh Kah Sakoon Tujhse Main.2
Dard Kaise Karoon Main Bayaan....
Main Yahaan Tu Vahaan...
Jab Kahin Bhi Aahat Huee Yun Lagaa Ke Tu Aa Gayaa.
Khushboo Ke Jhonke Ki Tarah Meri Saansein Mahkaa Gayaa.
Ek Vo Daur Thaa Ham Sadaa Paas The.2
Ab To Hain Faasle Darmiyaan....
Main Yahaan Tu Vahaan...
Biti Baatein Yaad Aati Hain Jab Akelaa Hotaa Hoon Main.
Bolti Hain Khamoshiyan.
Sabse Chhupke Rotaa Hoon Main.
Ek Arsaa Huaa Muskuraaye Huey.
Aansuon Mein Dhali Daastaan...
Main Yahaan Tu Vahaan..
Tu Hi Tu Hai Sanam Dekhtaa Hoon Jahaan Neend Aati Nahin Yaad Jaati Nahin
Bin Tere Ab Jiyaa Jaaye Na......