*1*
Wafa mein Ab yeh hunar Ikhtiyaar karna hai..
Woh sach kahay na kahay aaitbaar karna hai..
Yeah tujh ko jaagtay rehnay ka shouq kab say hua?
Mujhay to khair tera intazar karna hai..
Hawa ki zad mein jalanay hain ansoon k chiraagh,
Kabhi yeh jashan sar e rah’guzaar karna hai..
woh muskura kay naey waswason mein daal gaya,
Khayaal tha k ussay sharamsar karna hai..
terey firaaq mein din kis tarha kattain apnay,
Keh shughal e shab tu sitaray shumaar karna hai..
Chalo ye ashak hi moti samajh kay baichaein,
Kisi tarha tu humain rooz’gaar karna hai..
Kabhi tu dil mein chupay zakham
bhi numayaan ho,
Qaba samajh kay badan taar taar
karna hai..
Khuda janey ye koi zid, k shouq hai
"ALINA",
Khud Apni jaan kay dushman say payar karna hai.........
*2*
yadon ka ek jhonka aaya hum se milne barson baad,
pehle itna roye na they jitna roye barson baad..
lamha lamha ghar ujra hai mushkil
se ehsas hua hai,
pathar aaye barson pehle shishe tooty barson baad..
aaj hamari khak pe dunya rone dhone bethi hai,
phool hue hain itne saste jane keise
barson baad..
dastak ki umeed lagaye kab tak bethe rehte hum,
kal ka wada karne wale milne aaye barso baad.........
***
Muddton Ke Baad Aaj Fir Us se
Sapne Mein Mulaqat Ho Gayi,
Badi Der Se Aankhein Sookhi Thi Aaj Fir Barsaat Ho Gayi,
Kaise Mita du Uski Yaadon Ko Is Dil Se,
Poori Zindagi Se Lambi Aaj Ki Raat Ho Gayi...