*1*
kamaal-e-zabt to main khud bhi
azmaongi,
Main apne haath se uski dulhan
sajangi..
supurd kar ke use chaandni ke haathon,
main apne ghar ke andheron ko laut aaungi..
badan ke karb ko woh bhi samajh na payega,
main dil main roungi aankhon main muskuraungi..
woh kya gaya ke rafaqat ke sare lutf gaye,
main kis se rooth sakoun gi kisko manaungi..
woh eik rishtaa-e-benaam bhi nahiin laikin,
main ab bhi us ke ishaaron pe sar
jhukaungi..
bichaa diya tha gulabon ke saath apna wajood,
woh so ke uthe to khwaabon ki
raakh uthaungi..
ab us ka fan to kisi aur se mansoob hua,
main kis ki nazam akele main
gungunaungi..
javaz dhoondh rahi thi nayi mohabbat ka,
woh keh raha tha ke main us ko bhool jaungi..
samaton main ghanay jangalon ki saansein hain,
main ab kabhi teri awaz sun na paungi........
*2*
Dard ki har ik hadd se ab guzar gayi hon main,
Phir kabhi na simtungi yun bikhar gayi hon main,
Mout bas naheen aati rooh ke nikalne se,
Sans mujh main baqi hai phir bhi mar gayi hon main,
Zindagi main jitni bhi roshni thi usi se thi,
Mustaqil andhero’n main ab utar gayi hon main,
Baam o dar bhi us k baad ho gaye hain you’n khamosh,
Aur dil ulajhta hai jab bhi ghar gayi hon main,
Us ka sath jab tak tha rang rang mausam the,
Bas khizaa k mausam main ab thehar gayi hon main..........
***
Aae khuda karde us shakhs ke hawale mujhko,
Ke apne seene se wo ek baar lagale mujhko..
Bikhar gai hun mein toot kar tukdoon mein,
De use taufeeq ke aake sambhale
mujhko..
Ya to uska saath aata kar mujhko umr bhar ke liye,
Ya to chup chap apne paas bula le
mujhko.........