*1*
"Haste-haste bhi ankhon main aa jaate hain aansoo,
dard dil ka bayan kar jaate hain aansoo..
Bojh jab dil par had se badh jaaye,
us bojh ko halka kar jaate hain aansoo..
In aasuon ki fitrat ko kisne pehchana hai,
khushi ho ya gum chalak aate hain
aansoo..
Tumse bichada to socha na rounga kabhi,
par yaad teri aate hi aa jaate hain aansoo.......!
*2*
Aansoo jo beh rahe hain inhe behney do,
Yeh keh rahey hein dil ki baat kehne do..
bawafa ho tum, yeh ham ko hai maloom,
Tum apni wafa ki baat, apne takhi rehne do..
Mila to kya mila tumhe chahne ke baad,
Bas dukh hi seh rahe
hein hame sehne do..
Tum ne to keh dala sab haal-e-dil apna,
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehne do..
Mar gaye auroon ke liye hum,
Tum apni khatir ham ko Zinda rehne do......!
***
"Mujh Ko Rula Kar Vo Bhi Roya To Hoga,
Mooh Aansuon Se Usne Bhi Dhoya To Hoga.
Agar Na Kiya Hai Hasil Kuch Humne Pyar Mein,
Kuch Na Kuch Usne Bhi Khoya To Hoga.........!