*1*
Tumne jo meri kabr par, aakar yun muskura diya,
Bijli chamak kar gir padi, sara kafan jala diya..
Main so raha tha chain se, yun hi kafan e mazaar mein,
Yahan bhi sataane aa gaye, kisne pata bata diya..
Tumne chadhaye phool to, ehsaan kya kiya,
Humne tumhare ishq mein, sara chaman luta diya..
Pucha na jeete ji kabhi, dard e dil ka haal,
Aaye ho kabr par meri, mitti mein jab mila diya..
Aaye ho mazaar par mere, dekh liya ab mera haal,
Thukra ke mere pyar ko, kisi aur ko apna bana diya..
Ab ho gaya hai ilm tumhein, ek shikayat meri jaan lo,
Kiya jo hashar tumne mera, apno ko begana bana diya..
Main to kafan mein hoon ab, meri baat aur hai,
Karna na unka haal wo ab, jo haal mera tumne bana diya..
Tumne jo meri kabr par, aakar yun muskura diya
Bijli chamak kar gir padi, sara kafan jala diya........!
*2*
Apni "KHAM0SH" Zindagi Me Bulana Mujko,
Apne "HASEEN" Khuwab Ki Tasveer Banana Mujko..
Mai Jo Puchun Tumhara "HAAL-e-DIL",
To Apni Har "DHARKAN" Ki Awaz Sunana Mujko..
Mai Jo Kabhi "Ruth" Jaun Tumse Agar,,
To Bahut "PYAR" Se Manana Mujko..
Jo Kabhi Ho "DIL" Me Hasrat Tumhari Koi,
Be-Jhijak Apni Har "HASRAT" Batana Mujko..
Jo Ho Jao "ZINDAGI" Me Tanha Kisi Pal,
Apni Pyar Bhari "AWAZ" Se Bulana Mujko......!
***
Unki kami se dil mera udas hai,
Par hame to aaj bhi unke milne ki aas hai.
Zakham nahi hai par dard ka ehsas hai,
Aisa lagta hai dil ka ek tukda aaj bhi unke pass hai......