You can easily invite all your friends to peperonity.com. When you log in or register with us, you can tell your friends about exciting content on peperonity.com! The messaging costs are on us.
gazab kiya, tere wade pe
aitabar kiya,
.
tamam raat qayamat ka intezar kiya
.
hansa hansa ke shab-e-vasl
ashk-bar kiya
.
tasalliyan mujhe de-de ke
beqarar kiya
.
hum aise mahv-e-nazara na the jo hosh aata magar
.
tumhare tagaful ne
hoshiyar kiya
.
fasana-e-shab-e-gam un ko ek kahani thi
.
kuch aitabar kiya aur kuch na-aitabar kiya
.
ye kis ne jalwa hamare sar-e-mazar kiya
.
ki dil se shor utha, hae! beqarar kiya
..
tadap phir ae dil-e-nadan, ki gair kahte hain
.
aakhir kuch na bani, sabr
ikhtiyar kiya
.
bhula bhula ke jataya hai unko raz-e-nihan
.
chipa chipa ke mohabbat ko
aashakar kiya
.
tumhen to vada-e-didar hum se karana tha
.
ye kya kiya ke jahan ko
ummidavar kiya
.
ye dil ko tab kahan hai ke ho malandesh
.
unhone wada kiya hum ne
aitabar kiya
.
na puch dil ke haqiqat magar ye kahate hain
.
wo beqarar rahe jisne beqarar kiya
.
kuch aage davar-e-mahashar se
.
hai umeed mujhe kuch aap ne mere kahne ka
aitabar kiya