Kyun Hum Se Khafa Ho Tum,
Kyun Bhool Gaye Humko,
Rishta To Purana Tha,
1 Yeh Bhi Zamana Hai,
Ik Woh Bhi Zamana Tha,
Rangeen Fizayen Thi,
Aur Shokh Adayen Thi,
Jazbon Pe Jawani Thi,
Mousam Bhi Suhana Tha,
Seeney Se Lagaya Tha,
Aankhon Pe Bithaya Tha,
Maloom Na Tha,
Tumne Yun Chhood K Jana Tha,
Kyun Hum Se Khafa Ho Tum,
Kyun Hum Se Juda Ho Tum,
Kya Jurm Huwa Humse,
Itna Toh Batana Tha,
Kyun Bhool Gaye Humko,
Rishta toh Purana Tha..!!