Vivah hota hai har ladki kaa
sapnaa,
jisse usko milta hai jeevansathi
apnaa.
Vivaah ki belaa bahut mangal
hoti hai,
Jisme ashruon se aankhein sajal
hoti hai.
Jeevan ke pranaysootra mein
bandhkar, Dono ban jaate hain ek dooje ke
hamsafar.
Jahaan khushiyon ki manjil pane
ke liye, Chalnee padti hai gamon ki
dagar.
Vivaah naa kewal do dilon kaa,
balki do parivaaron ka milan hota
hai.
Jisme pyaaraa saa piyaa paakar,
har vivaahita ka jeevan safal
hota hai.
Ye jindagi kaa wo haseen pal hota hai,
jab aap ek dooje ke dil mein bas
jaate hain.
Ek dooje se jaraa si bhi dooree
hone par, Wo milne ke liye tadap jaate hain.
vadhoo saat janmon ke liye ho
jaatee hai var ki, chutkee bhar sindoor ke maang
mein padte hi.
Beti ho jaati hai sadaa ke liye
paraayee,
Mata pita ke kanyaadaan karte
hi.
Saaton pheron ke hote hain saat
vachan,
jo var vadhu ko jeevanbhar
nibhaane padte hain.
Vadhu ko janmdata se door
rahkar,
Jeevan ke dukh uthaane padte
hain.
Jab aatee hai bidaaee ki ghadi,
tab aankhein aansuon se bhar
jati hain.
Phat jata hai man kaa kalegaa,
Babul ki aankhein bhi bhar aati
hain.
Bhaiyaa bahan ke ujjwal bhavishy
ki kaamnaa karte hain. Bhabhi dulhan ke gale lagkar use
saantvana deti hain ki,
Agar tu jaa rahi hai sasuraal,
to
tere maa baap kaa main, pooraa pooraa rakhoongee
khayaal.
Ishwar ne kaisee reet banaayee
hai ki,
vivaah ke baad ladki kaa apnaa ghar
uske liye paraayaa ho jata hai.
Jis ajnabee ke saath usne saat phere
liye,
uska ghar uskaa apnaa ho
jaataa hai.
Ek taraf agar maa baap se
bichhadne kaa dukh hota hai to,
Doosri taraf salone piyaa se
milne ki umang aur badh jati hai.
Mahak uthtaa hai uskaa jeevan
khushiyon se,
aur uske chehre ki aabhaa
nikhar jaati hai.
Vivaah ek pyaaraa saa rishta
hota hai,
jise pyaar se nibhaayaa jaata
hai.
Apne hamsafar ke ki khushiyon
ke liye jeekar,
apna vaivaahik jeevan safal
banayaa jaataa hai..
=> pls add this blog in your favourites and send hints to your friends (thanks...
Best Regards
•♥°·ληίтα·°♥•
(
Quick.solution.peperonity.com)