Aaj fir kisi ne tera zikr kar diya,
Meri sooni aankhon ko nami se bhar diya...
Dafnaye baithi thi tujhe barson se yadon mein,
aakar us shaks ne tujhe zinda kar diya..
Chupa rakha tha jis raaz ko seene mein kab se,
aansuon ne us raaj ko beparda kar diya...
Lamhe lamhe k intzar mein umar gujar gayi,
tere khyaal ne aaj umar ko lamha kar diya...
Tera zikr hua hai tou badnaam karke hi jaayega,
par is badnaami ne aaj fir se mera naam kar diya...