Bachpan mein apne gaon mein
Aam ke pedon ki chhaon mein
Jab mitti par lotna chahta tha,
Apne doston ki hi tarah
Gilli-danda khelna chahta tha,
To maan ne mana kiya
Ki tum to
achchhe bache ho
Bigad jaaoge,
Aur main maan gaya…
Shahar ke school mein aaya
Apne doston ki hi tarah bhaagkar
Cinema dekhne jaana chaahta tha,
Doosre batch ke ladkon se
Ladna-jhagadna chaahta tha;
To shikshakon ne mana kiya
Ki tum to
achchhe bachche ho
Bigad jaaoge,
Aur main maan gaya…
College mein jab aaya
Apne doston ki hi tarah
bahut kuch karna chaahta tha,
…….hmmm
To kisi ne mana nahi kiya
Par main to
achchha bachcha hoon
bigad jaaoonga…
Aur main maan gaya….