Ek padhi likhi sundar ladki mai har pal dhoondh raha hoon,
jo ek nazar mein kar de mujhko paagal , dhoondh raha hoon,
Zulfein hoN uski kuchh aisi, jaise sawan ka baadal,
Jo garaj chamak ke barse aise, baadal dhoondh raha hoon,
Neeli neeli aankhen uski, jheel si hoN gehrai liye,
Raat din ab jheeloN ki mai, kal-kal dhoondh raha hoon,
Ek baar mai sun looN usko baar baar phir dil chaahe,
Koyal si aawaz mai uski, pal-pal dhoondh raha hoon,
Dekhte hi usko, mere dil mein ek toofan uthe,
Intzaar mein, us toofan ki hul-chul dhoondh raha hoon,
Chale wo ghar mein jab bhi mere chham chham ki aawaz kare,
Chham chham karti aaj mai,uski paayal dhoondh raha hoon,
Aanchal mein khushboo ho aisi,mehke jis se ghar aangan,
Nazuk si aisi ladki ka, aanchal dhoondh raha hoon,
ek guzaarish.... ke saath makta pesh kar raha hu..
Dikhe wo jab bhi tumko yaaroN mujhe bataana kyon ki,
Ek padhi likhi sundar ladki mai har pal dhoondh raha hoon,
jo ek nazar mein kar de mujhko paagal , dhoondh raha hoon,
uske intzaar mein.......