Azan ke baad durood shareef parh kar ye dua parhen.
Allahuma raba hazae aldawate altama wasalatil Qaima aate seyedna MUMHAMMADIN alwasila walfadilata waldarjata alrafiha walbaasu makaman mehmoodan alazi wahadtan warazukna shafa'hata yom al kayamate inaka la tukhliful mee'aad Birahmatika ya alrahm ul rahimeen ..
Ay Allah is dawat e tama aur salat e kaima ke malik tu hamare sardar Muhammad salalaoalywasalam ko wasila aur Fazilat aur buland darja attah farma aur aun ko aus makam e mehmood mein khara kar jis ka tune aun se waada kiya hai aur hamen kayamat ke din aun ki shafahat nasib farma beshak tu apne waade ke khilaf nahi karta hum par apni rehmat farma ay sub se barh kar reham karne waly..