Mujhe lgta hay ke humare bachhe kese dikhe, kese\kya padhe, jevan ke rah per kese chale aur sbse uper oh kese sochen,
Oh humare hath me ya humare shashan ke hath me nehi hai !hum to srif kthputli bnke apne oper'tr jo bahar baithe hue hai,
uske unli pe najar rakhe hue hey ke kab oh hume nachne ko kahe aur hum nachne lage !
Ye samasya ki gambhir ghatakta,hum vyakti sah akalan nehin kr sakte kintu samuhik drustise hum dekhen, to payenge,
ke angrejon ke agman tak,bharatiya ka mann, jo hamesha swadhin hua karta tha,aj unke janeke 6dashak ke baad gulami
mansikata ki janzeer se kuch vyakti judte dikh jate hai ! Iska karan nischit hi apna galat sikhya neeti hey aur iske
Zimmedar NCERT jo sat pratishat ya yun kahen satadhik pratishat Lord Macley praneet sikhya neeti ko prayog kiye !
Aur lord maclay ki is prayog se na keval british satta ko tatkalik labh hue,blke iske karan Bharat mein ek pangu verg ka
vikas hua eise mujhe prateet hota hai ! aur unki mansa ki pusti unke hi patr se hoti hai,jiske kuch ansh yahan diye gye
...hume ... ek eisa verg tayar krneki or vishes dhyan dena chahiye ke jo humare aur humare karodon prajajanon ke vich
Dubhasiye (interpretor) ka kam kr sake.... logon ka ek eisa verg tayaar ho,jo dekhne me to Bharatiya ho,pr richi,vichar
mann aur buddhi se angrej ho. . . punah, apne pita ko 1836me likhi aur ek chitthi mein usne jo likha,woh is prakar hain,
"angrej sikshya grahan karne vala koi bhi HINDU apne dharm ke prati sachi nistha nehin rakh sakta . . Yadi hamari sikhya
paddhati ko apnaya gayaa to 30 shal ke vad bengal mein ek bhi MURTIPUJAK nehin reh jayega,aur oh sab dharmantkaran
(religeous conversion) ke pachde mein pade vina hi hojayega"
[H.V.S sayz from The life & letters of Lord Macley by
George Auto Traveleon ]
Ab hum khud hi soche ke pichle 6dsak se jo babool ka ped hum bo te chale a rahe hain, aj usme aam kahan se ayega? 8 Comments: आपसे पूर्णतया सहमत हूँ,वर्तमान सभी समस्याओं की जड़ जनता में जागरुकता की कमी है.जो उचित शिक्षा पद्धति से ही प्राप्त होगी. very serious tapic ,comment aap kar do mere liye. Well madam. Is blog se pata chala k aap hindi janti hai. Khair mere comment ko heartly nahi lengi, pl. Mai batao aaplo k aap ka concept hi galat hai. Aap eaducation policy ko galat maanti hai. Kyon? Isi policy k tahat aapne study kar teaching job paayi. Ise chorh digiye. Pahle apna vision clear kigiye. Kya aapke paas koi new idea hai. Yadi policy decide karne kahe to aap kaun sa model present karengi? Yadi dil kare to hum bina frnd hue v is par debate kar apana I.Q.bara kar sakti hu. Thnx with regards. Hum bhartiyon ke andar ek bahut badi kami hai ki hum hamesha bootkal me jeete hain, hum uska rona rote hain us par aansu bahate hai. Usne hamare sath vo kiya isne hamare sath yekiya. Hum ye nahi sochte hum apne sath kya kar rahe hain ya hame hamari bhalai ke liye kya karna chahiye. Jaisa ki aapne kaha ki boye ped babool ke to aam kaha se hoye. To hum bhi to us babul ke ped ko is asha me pal pos rahe hai ki ek din wo hame aam dega. Aur pichhle 63 salo se lagatar uska poshan kar rahe hain. 63 sal kam samay nahi hai. Kya hum itne murkh hain ki hame soch paye ki babool ka ped hame kabhi aam nahi d... 29.08.2010 09:32 EDT, MANAVyeah i agree with u nd itz a big problem in now days Hmmmm... I don't agree that.. Sorry..
|
|